Posts

AAJ KI HADEES 23102020

HADEES SHAREEF Hazrath E Abdullah Bin Umar رضي الله عنهما Se Riwayat Hai Ke Rasool Allah صلى الله عليه وسلم Ne Irshaad Farmaya : Jis Ne Mere Roza Anwar Ki Ziyaarat Ki Uske Liye Meri Shafa`at Wajib Hogayi... [Guldasta Ahaadees Page No 73]

AAJ KI HADEES SHAREEF 21102020

 HADEES SHAREEF Farman E Mustafa صلى الله عليه وسلم :- Mujh Par Kasrat Se Durood Pak Padho Beshak Tumhara Mujh Par Durood Pak Padhna Tumhaare Gunaho Keliye Maghfirat Hai....... صلى الله عليه وسلم [Kufriya Kalimaat Ke Baare Me Sawaal Jawaab P:09]

Aaj Ki Hadees 20102020

 HADEES SHAREEF Farmaan e Mustafa صلى الله عليه وسلم :- JO Mujh Par Durood Pak Padhna Bhool Gaya Wo Jannat Ka Rasta Bhool Gaya.... صلى الله عليه وسلم   [kufriya kalimaat ke bare me sawaal jawab P-03      

Aaj Ki Hadees 19102020

     Hadees Shareef Farmaan e Mustafa  ﷺ    Us Shaqs ki Naak khaak Alood Ho Jis Ke Paas Mera Zikr Ho Aur Wo Mujh Par Durood Pak Na Padhe........ ﷺ

Hazrath Syed Shah Muhammed Qalandar Shah Qadri Rahmatullahi ta'ala alaih

Image
Faizane Ghous ul Wara, Ata e Khwaja Piya, Muhibbe Imam Ahmed Raza Khan(A'ala Hazrat), Khalifa E Momin Badshah Qadri, Gule Baghe Qadriya Shahenshahe Javagal Shareef, ALHAJ HAZRAT SYED SHAH MUHAMMED QALANDAR SHAH QADRI Rahmatullahi ta'ala alaih Aapki Mazaar Shareef Javagal Shareef  Hassan (dist) Karnataka,India Me Hai. Aap (Rahmatullahi ta'ala alaih) Silsila e Qadriya Ke Gulshan Ke Mehakte Hue Phhoool hain. Aapka Mubarak silsila  Hazrath Qibla Momin Baadshah Qadri   (Rahmatullahi ta'ala alaih) Kesarmudu shareef, Tumkuru se Hote hue  Huzoor Ghous e Azam (Rahmatullahi ta'ala alaih) se  Hote hue Hamaare Pyare Aqaa Kareem Janaab e Muhammed Mustafa(ﷺ) Ke Mubarak Bargah se Milta hai.